


Raj loharuka-Main kya hoon yeh koi nahi samajh paayega kyuki main apne aap ko aaj tak khood nahi samajh paaya. shayyad aisa insaan jo sirf sachhai par chalna chahta hai ya ek aisa insaan jisne pyaar se bahut kuch sikha. sach kehte hain log ki koi aise hi shayar nahi ban jaata. Isi baat par ek shaayari- "Shaayar ke kalam se likhi shaayri tabhi aati hain jab ho uske aankhon main ek tasveer pyaari ho agar uske aankhon main ek sapna toh ban jaata hai uska dard ek nagma yeh ya toh woh shaayar hi jaane ya phir uski woh shaayari" "Abhi kalam se kuch boond nikle bhi na the ki dil ka dard aankhon main utar aaya abhi kuch boond shabd ban bhi na paaye the ki dard aansoon ban kar aankhon main jhalak aaya" - dekha ek sidha saada insaan bhi pyaar main kya nahi ban jaata par yeh kehna galat hai ki pyaar galat hai.duniya main shaayad hi koi aisa insaan hoga jisne pyaar ko samjha hoga.pyaar ke bahut roop hote hain .par shaayad duniya ki banayee galat nazariye mera pyaar mujhse leliya gaya.main aaj tak nahi samajh paaya ki aakhir meri galti kya thi bas itna ki maine usse itna pyaar kiya ki ab uske bin main ji nahi sakata. "ek ladka tha deewana sa ,ek ladki pe woh marta tha subah shaam har pal,bas usse hi pyaar karta tha jab bhi usko dekhoon har pal ,gum-sum sa rehta tha jab bhi us ladki se milta tha,usse kuch khna chahta tha par shaayad woh uske, inkaar se darta tha Ek din wahi hua jisse woh, sabse jyaada darta tha bhool jana tha us ladki ko,jiska woh itna deewana tha jiske bagair woh zindagu toh kya,ek pal bhi nahi ji sakata tha kya thi uski bas itna,ki woh us ladki se bahut pyaar karta tha kisi ne yeh nahi samajha, ki woh kyon usse pyaar karta tha " -Aur ab main aise jagah par hoon jahan main sab dard samajh sakata hoon aur shaayad isi liye main bada aadmi banna chahata hoon taki main logon ke liye kuch kar sakoon.kyunki ab main samajhta hoon ki dard kya hota hai phir chahe dard pyaar mein mile ya kisi aur wajah se par dard toh dard hi hota hai.aur jab mujhe uski sabse jyaada jaroorat thi toh woh mujhe chod ke chali gayi kyunki uske parents ko pata chal gaya aur woh apne parents ko hurt nahi karna chahati.ajeeb hai na ki kisi ko khusiyan dene ke liye aap ko kisi aur ko dard dena hota hai.usne apne parents ko khusiyan de di aur mere liye chod gayi sirf yaadein ,dard aur aansoo .shaayad woh mujhe bhool chuki aisa woh kehti hai par mujhe yakeen hai ki meri soni mujhse utn hi pyaar karti hai jitna main.yeh toh nahi janata ki uske bin ji paaomga ya nahin par jab zinda raha usi ki yaadon ke saath jiyoonga lekin kisi aur ka haath nahi thamoonga,kyunki main kisi aur ko dard dena nahi chahata, aur phir mere pyaar ne mere jeene ke liye kitne kasmein chod gayi hai aur phir mujhe un logonke liye bhi toh jeena jo meri tarah akele hain ,aur phir pyaar hamein sikhati hai ki hamesha woh karo jisse apna pyaar uncha rahein.isi liye main jiyoonga,apne liye na sahi lekin apne pyaar se kiye gaye wadon ke liye,aur kareta rahoonga intezaar,phir woh intezaar ek pal ka ho,ya ek sadi ka ho,ya phir kayee janamon ka- Aur is nayi zindagi ki shuruat jahan maine dard ko smajha hai us sachhe dard aur mohabbat ke liye- "KASHMIR-core of our nationhood" ******************************** "Unchi vaadiyan,barphile pahad jahan ki jheelon main dikhta hai pyaar jahan khilti thi kabhi phoolon ki bahar ban gayee hai woh dharti aaj dharmon ki darar Jahan chahakati thi kabhi pairon ki gunjan jahan behti thi hawain karke san-sanan jahan dil se banata tha dilon ka rishta jahan pahunch kar rehti thi bas aankhon main muskurahat aaj hain toh bas jalati yaadon ka savistaan Jo thi kabhi bas sapano ka jahan jahan bacchon ke sang rehta tha khuda jahan se khulta tha swarg ka rasta aaj hai toh woh bas nafrat ka jahan Jahan ab rehta hai khuda banke masjid main jahan rehta hai bhagwan kahin ek mandir main kal kahenge isaai hai yeh meri bhi dharti kar do batwara tod do yeh jahan Jahan insaano ki toh kya bacchon ki bhi nahin koi kimat jahan har pal kuchal diya jaata hai kahin na kahin kisi ke sapano ka sahar taki bana sake woh apne khuda ka ghar Jahan behti hai pavitra ganga ki lahar jo thi kabhi kai sanskritiyon ka sahar ab rehta hai wahan bas mout ka kahar aankhen hai nam hai unmain dahsat ki dagar Ab dhuan-dhuan hai har ek raasta dhuen main jal gaya hai jahan karoon bhi to ab karoon main kya kaise dilaoon main unko muktiyan Kya gunah tha un masoom jaano ka jiski mail rahi hai unhe mout ki sazaa shaayad janmain hai us dharti par jismein likha hai insaano ne dharmaon ki daastan Jhalakti thi kabhi jinke aankhon main masoomiyat dar khauf bana un aankhon ki shakshiyat jin aankhon ko dekhana tha pyaara sapana dekhti hain woh aaj maut ki hakeekat Kyon tod dete hain log ek doosare ka ghar woh bhi toh log hain unka bhi toh hoga ghar hoga unka bhi toh pyaara sa parivar phir kyon saakh se patton ki tarah kar dete hain logon ko khud se juda Chubhati hain in aankhon ki khamoshiyan gunjti hain toh bas dhamaaakon ki sehnaiyan laashon ki bichi dher main se kabhi aati hai toh woh hai bas mout ki sargoshiyan Ponchati hain woh aankhen tum kya jaante ho kyon jalti hain in dilon main chingaariyan sahoge jab jo maine hai saha tab jaanoge dard hota hai kya hote hai jab apne apno se juda jab ho jaati hai saari khusiyan rehnooman tab reh jaati hai bas dard ki siskiyan lagne lagati hai phir duniyan gumnuman Bataoge nahi toh hum jaanege kaise samjhaoge nahi toh hum samjhenge kaise rahoge akele toh kya haasil hoga saath rahoge toh shaayad yeh faasala kam hoga" LOVE YOU SONI ***************** "Love you from the bottom of my heart you are the one who lies deep in my heart and with my dreams filled with colours of your love i just want to say that i love you very much,my love" 
|